Apne Malik ka Main naam lekar lyrics – naat lyrics
Apne Malik ka Mein Naam lekar
Bazm ki Ibtida kar raha hun
Ya Khuda Aabru rakh Meri Tu
Teri Hamdo Sana kar raha hun
Tu Jo chahe to ban jaye Kismat
Mere Sajdon ki kya hai hakikat
Teri Chokhat pe Sar ko jhuka kar
Farz Apna ada kar raha hun
Apne Malik ka Mein Naam lekar
Bazm ki Ibtida kar raha hun
Mene Duniya ka dekha nazara
Al-Madad keh ke Meine pukara
Mujko Apni panahon mein rakhna
Bas Yehi Iltija kar raha hun
Apne Malik ka Mein Naam lekar
Bazm ki Ibtida kar raha hun
Aaj Mehfil mein baithe hein Jitne
Sab ke Dil ki Tamanna ho Puri
Sab ko Haji bana de Tu Maula
Mein tadap kar Dua kar raha hun
Apne Malik ka Mein Naam lekar
Bazm ki Ibtida kar raha hun
Apne Mehboob ka Dar dikha de
Mera Soya Mukaddar jaga de
Lutfe Duniya ko Aaj se Mein
Apne Dil se jhuda kar raha hun
Apne Malik ka Mein Naam lekar
Bazm ki Ibtida kar raha hun